logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - shabbir and abbas tejani - 2006

Abbas Ibne shere khuda

Abbas Ibne shere khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

mashko alam leke ghar se chalaa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

Zainab ne dam karke naade ali,
Apni rida bhayi par daaldi,

Dekar duwa ghar se rukhsat kiya

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

Bacho(n) ke lab par khushi agayi,
Kuchh der me tashnagi jayengi,

Darya ki janib chale hai chacha

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

Ghazi ne saahil pe rakha qadam,
Khakar sakina ke sar ki qasam,

Bharlunga is mashk me alqama

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

Parcham hawa me jo urhne laga,
Zainab se bole shaahe karbala,

Bhayi palat aaye mango(n) duwa

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

Kehti thi bali sakina yahi,
Mera chacha hai bahadur jari,

Rokega kaise koi raasta

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

Lekin achanak ye kya hogaya,
Ghazi ka parcham larazne lagaa,

Bedast hokar giraa bawafaa

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

Ghazi jo zee(n) se zami(n) par ghira
Rokar Sakina se usne kaha

Sharminda Bali tera hai chacha

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

Sheh ki kamar gham se kham hogayi,
Taakat shahe dee(n) ki kam hogayi,

Lashakar ka sardaar maraa gayaa

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

"Rehan" manzar wo kaise likhu(n)
Mere qalam se tapak ta hai khu(n)

Kehte the shabbir bhayi mera

Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

HomebookmarkmybayaazSetting